Sone Ka Kalsa Noorani Jaali Khwaja Ki Shaan Nirali

Sone Ka Kalsa Noorani Jaali, Khwaja Ki Shaan Niraali
Shah O Gada Hai Dar Ke Suwali, Khwaja Ki Shaan Niraali

Sibt e Nabi Aulad e Ali Ho, Sanjari Chishti Hindal Wali Ho
Sara Zamana Khwaja Tera Deewana Khwaja
Shaan Hai Teri Niraali
Khwaja Ki Shaan Niraali

Ek Piyale Me Saagar Ka Aana, Jadugari Ko Kalma Padhana
Pal Me Chamka Khwaja, Uski Kismat Ka Taara,
Chashm e Karam Jispe Daali
Khwaja Ki Shaan Niraali

Zarb e Talab Me Wus’at Nahi Hai, Teri Ata Par Hairat Nahi Hai,
Bin Mange Deene Wale, Kehte He Lene Wale,
Lauta Nahi Koi Khaali
Khwaja Ki Shaan Niraali

Ranj o Alam Ka Haal Sunane, Aaye Hai Dar Par Bigdi Banane
Pyare Nabi Ka Sadqa, Gaus o Ali Ka Sadqa
Sadqa e Ishq e Bilaali
Khwaja Ki Shaan Niraali

Bekas Naseem Pe Itna Karam Ho, Isko Ziyarat e Shah e Umam Ho
Mohani Surat Wale, Taajo Huqumat Wale,
Mangto Ki Baat Na Taali
Khwaja Ki Shaan Nirali

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *